Raj Ahuja shares a beautiful poem on Female Foeticide in SatyaMev Jayate

 Masoom si nanhi pari hoon main..
Tumhe kuch btaana chahti hoon..
Yun kokh mein hi na mita do mujhko..
Duniya mein aana chahti hoon..

Na jaane kyun mere apne hi..
Mera wajood mitana chahte hain..
Beti ko bhoj samjhte hain or..
Ek beta paana chahte hain..

Mujhe aane ka mauka toh do..
Har zimmedaari ka bhoj utha ke..
Beti bhi kam nahi bete se..
Ye sabit ker dikhana chahti hoon..

Yun kokh mein hi na mita do mujhko..
Duniya mein aana chahti hun..
Mera aana aapke jiwan mein..
Koi bhoj nahi badhayega..

Roop hoon main toh Laxmi ka..
Bus khushaali hi layega..
Banke ghar ki Laxmi ghar mein..
Barkat laana chahti hun..

Yu kokh mein hi na mita do mujhko..
Duniya mein aana chahti hoon..
Mujhe dekhe or jaane begair..
Mujhe aise na nakaaro tum..

Bete ki tarah kaabil hoon main bhi..
Yun bin jaane kaabliyat meri..Nakabil na pukaaro tum..
Abhi beej hu mai..kal paudha banungi..
Fir ek din uncha sa vriksh banke..sabke jiwan mein..

Chhaya failaana chahti hun..
Yu kokh mein hi na mita do mujhko..
Duniya mein aana chahti hun..

 

Worth Sharing it. : )

Source – Facebook SaytaMev Jayate Note’s

Leave a Reply